Muhammad Ali Kile BioGraphy


 Muhammad Ali Kile BioGraphy

Muhammad Ali Kile is the world's greatest boxer. He was born on 17 January 1942 at Louisville, Kentucky, U.S. in Christian family his name was Cassius Clay. In 1964 he convert the Islam and they kept the name Muhammad Ali. He won heavyweight champion award in three times. He is a first Muslim heavyweight champion. The age of twelve years they start training of boxing. The age of eighteen years his first victories by winning the International Olympic gold meddle. Before that, he won by Golden Gloves of America. Muhammad Ali has four marriages and they have seven and two son, these days his last wife Yolanda (Lonnie) is serving them. Muhammad Ali’s daughter Laila Ali is also a boxer. In this page you will read and find information and biography about Muhammad Ali Boxer in Urdu and Hindi.

Biodata:

Name: Muhammad Ali Kile (Cassius Clay)
Born (birthday): 17 January 1942
Birth Place: Louisville, Kentucky, U.S.
Field: Boxing
Personality: Boxer
Wife Name: Sonji Roi (divorced on January 10, 1966), Belinda Boyd (Khalilah Ali), Veronica Porsche, Yolanda ("Lonnie") Williams
Children: Maryum, Jamillah, Rasheda, Muhammad Ali, Jr. Laila Ali, Asaad Amin, Miya, Khaliah

Biography:

Muhammad Ali Kile dunya ke azeem tareen boxer’s mein se aik hein ap 17 January 1942 ko Louisville, Kentucky, U.S. ke aik Isai gharane mein peda howe in ka naam (name) Cassius Clay tha. 1964 mein Islam qabol karne ke baad unho ne apna naam Muhammad Ali rakha, ap un chand boxers mein shamil hein jinho ne teen bar (three time) heavyweight champion ka aezaz hasil kiya. Muhammad Ali kile ko pehle Muslim heavyweight champion ka aezaz bhi hasil hai. Inho ne 12 baras (12 years) ki umer se Boxing ki training shuro ki. 18 baras (18 years) ki umer mein pehli kamyabi almi satah (internation) per Olympic gold meddle jeet kar hasil ki. Es se qabal woh America ka Golden Gloves bhi jeet chukke hein.
Muhammad Ali ne 4 shadiyan kein akhri BV Yolanda (Lonnie) in dino in ki dekh bhal kar rahi hai. Ap Parkinson's ki bimari mein aik arsa se mubtala hein.
Muhammad Ali ki beti Laila Ali bhi aj kal boxing per chhai hoi hai.

Career:

Nasli imtiyaz ka samna karne ki wajha se ap ne apne Olympic meddle samundar mein phenk diya tha pher Vietnam ki jang (Vietnam war) mein jane se inkar karne per 5 saal qaid ki saza sunai gai aur inhein international heavyweight champion aur boxing license dono se mehrom kar diya gaya
1974 mein dobara ring mein lotein aur apna chhina howa title wapas hasil kar liya. Muhammad Ali Kile 1964 se 1967, 1974, se 1978 aur baad azan 1978 se 1979 tak almi champion rahe. 1981 mein inhein azeem tareen All time Grate Heavyweight champion ke aezaz se nawaza gaya. 1999 mein inhei sadi (century) ka behtareen sports men qarar diya gaya. Sabiq bartanvi (England) heavyweight champion Lewis ne Muhammad Ali ko azeem boxer qarar diya. Ye azeem boxer 1983 mein retired howa. 1987 mein inhein Life time Achievement Award se nawaza gaya.
Muhammad Ali ne 1964 mein Miami ke maqam per Sonny Liston ko 7 round ke muqable mein knockout kar ke almi champion ka award jeta tha. Muhammad Ali ne apne hareef Funny Handskar ko 6 round mein chit kar ke muqabla jeet liya (won). 1966 mein Houston mein hone wale muqable mein Cleveland William ko chothey round mein knockout kar diya tha jis ke baad woh shohrat ki bulandiyon per pohach gae. William jarahana khel ki wajha se dunya bhar mein mash-hor tha.
Apni career ki dosri bari fight Frears ke khelaf 1975 mein lari aur choda round ke es muqable mein Frears ko unho ne technical knockout kar diya tha. Chodhvein round mein Frears ke coach ne ring mein aa kar khud muqabla rukwa diya.
Tesra bara muqabla 1974 mein George Foreman ke khilaf tha ye muqable bhi Muhammad Ali ne aathwein round mein knockout ki bunyad per jeet liya.
1977 mein in ke career ka chhata (6) behtareen muqabla new york mein Aprain Towers ke khelaf tha ye muqabla unho ne points per jeet liya.
1971 mein Frears ke hathon shikast se do char howe thein. Navein (9) fight Frears khelaf thein es mein unho ne 1971 ke shikast ka badla le liya aur usey shikast di. Kile ne boxing career mein 61 muqable larein aur 56 mein kamyab howe, ye dunya ke pehle kheladi hein jinhein 2005 mein sab se zyada aezazat se nawaza gaya.

Comments

Popular posts from this blog

What is "Teacher on" ?

وکالت کا لائسنس حاصل کرنے کا طریقہ How to get Licence for an Advocate

Phases of Chorometography.